Tuesday, July 25, 2006

How long are we going to hate?



Khoon apna ho ya paraya ho,
Nasal-e-aadam ka khoon hai aakhir
Jang mashriq mein ho ke maghrib mein
Aman-e-aalam ka khoon hai aakHir


Bam gharon par giren, ke sarhad par
Rooh-e-taameer zakhm khati hai
Khet apne jalen ke auron ke
Zeest faaqon se tilmilaati hai


Tank aage badhen, ke peechhe haten
Kokh dharti ki baanjh hoti hai
Fatah ka jashan ho ke haar ka sog
Zindagi mayyaton pe roti hai


Jang to khud ek masla hai
Jang kya maslon ka hal degi
Aag aur khoon aaj bakhshegi
Bhook aur ahtiyaaj kal degi


Is liye ai shareef insaano!
Jang talti rahe to behtar hai
Aap aur hum sabhi ke aangan mein
Shama' jalti rahe to behtar hai

By Sahir Ludhianvi


Update:

Ek Naghma Karbalaa-e-Beirut Ke Liye by Faiz here

"bacchoN kii haNstii aaNkhoN ke
jo aaiine chaknaa-chuur hu’e
ab un ke sitaaroN kii lau se
is shah’r kii raateN raushan haiN
aur ruKhshaaN hai arz-e-Lebanon"



,,,,

6 comments:

Anonymous said...

Thanks for the link, Sadia.

Sahir's nazm is ofcourse relevant to any conflict. I hope to translate it soon though I am not sure if I would be able to do justice to it.

I like your flickr images. Good job !

Sadia said...

Thanks Mohib :)
Your translation of the Beirut Poem by Faiz stands as evidence that Sahir will not be disappointed:)

editor said...

yeh vaaqai sahir ki umda nazmoN meN se ek hai.

Sadia said...

Ado :)isnt that nida fazli's? and ur becoming lazy:P :P

Adnan.. this has been one of those poems with which I got introduced to this fascinating world of urdu poetry. It has a special place for me :)

HP said...

Really beautiful Words...

Do you mind if I use these verses sometime later in my posts?

Cheers,
HP

Sadia said...

Hp
Please feel free to go ahead and use them. Beautiful words are meant for repeating:)