Saturday, May 17, 2008

TUM





Chhoo loon tumhe, sirf tumhaare haathon ko hi,
Tab bhi
Ye raftaar o jumbish jo tumhaare lahu main hai
Meri thehri nabz mein shayad kahin se aa jaaye

Ha.ns loo.n tumhaari tarah khilkhila kar to,
Ye gulabi sharm jo tumhaare rukhsaar pe damakti hai
Mere chehre ki kagazi safedi par
Apna halka sa rang phaila jaaye

Ye zindagi jo tumhaari abru ke beech, lakeeron par
Naaz o aaraam se baithi dikhti hai
Ji bhar ke dekhoon tumhe to
Aankhon ko na sahi
Mere ashko.n ko to ghar bana jaaye

Kyon itni khoobsoorat ho tum
Kyo.n tum se nigaah nahi hat-ti meri
Chalo theek bhi hai
Tumhaara husn, kuch nahi to,
Mere dil ki thandi raakh mein
Koi rashk ka shola hi jaga jaaye

(An ode to the beautiful women of Rajasthan...)