O flower, at your life, my heart shudders,
A smile is all for which you bloom...
Said the flower "even a smile my friend,
who receives in this garden of gloom"
Original by 'Josh':
Gunche teri zindagi pe dil hilta hai,
Bas ek tabassum ke liye khilta hai...
gunche ne kaha ki "Is chaman mei.n baba,
Ye ek tabassum bhi kise milta hai"
Thursday, September 18, 2008
Saturday, May 17, 2008
TUM
Chhoo loon tumhe, sirf tumhaare haathon ko hi,
Tab bhi
Ye raftaar o jumbish jo tumhaare lahu main hai
Meri thehri nabz mein shayad kahin se aa jaaye
Ha.ns loo.n tumhaari tarah khilkhila kar to,
Ye gulabi sharm jo tumhaare rukhsaar pe damakti hai
Mere chehre ki kagazi safedi par
Apna halka sa rang phaila jaaye
Ye zindagi jo tumhaari abru ke beech, lakeeron par
Naaz o aaraam se baithi dikhti hai
Ji bhar ke dekhoon tumhe to
Aankhon ko na sahi
Mere ashko.n ko to ghar bana jaaye
Kyon itni khoobsoorat ho tum
Kyo.n tum se nigaah nahi hat-ti meri
Chalo theek bhi hai
Tumhaara husn, kuch nahi to,
Mere dil ki thandi raakh mein
Koi rashk ka shola hi jaga jaaye
(An ode to the beautiful women of Rajasthan...)
Labels:
people,
photography,
poem,
poetry,
rajasthan,
random thoughts,
ranthambore,
urdu
Subscribe to:
Posts (Atom)