Friday, August 03, 2007

LAL DEEWAREI.N

(A poem inspired by Mughal Architecture in Delhi & Agra.
Some pictures of the same here)


Maazi ka madham taraana koi
Bhoola bisra zamaana koi
Kaheen parchhaiyee, kahee.n sargoshi
Kuch izhaar, kuch khamoshi
Dard, khalish, bam, dhamaake
Raqs, teohar, khushi, patakhe
Buland Minaro.n ki zubaani
Khule darwaazo.n ki band kahaani

Dil soz daastaa.n apni sunayei.n
Ye thandi deewarein, ye thehre saaye

Sone si subho.n ka bayaa.n hai
Zikr-e-naseem-e-seher yahaa.n hai
Shaahi gusal, sekdo.n phawware
Aab-e-gulaab mein bheege nazaare
Saaye sametne ki tayyaari bhi
Halke nishaa.n hai, bhaari bhi

Dil soz daastaa.n apni sunayei.n
Ye thandi deewarein, ye thehre saaye

Garm dopeher mein tapte fasaane
Pedo.n ki chhaao.n mein soye zamaane
Thami hawa mein koi raaz si sar sar
Thandi aaho.n sa sang-e-mar mar
Thak ke dhoop ka shaakho.n par tikna
Kirno.n se aayatei.n likhna

Dil soz daastaa.n apni sunayei.n
Ye thandi deewarein, ye thehre saaye

Rangeen aanchalo.n mein shaam ka aana
Doobte suraj se shamme jalaana
Aazaan par nehro.n ka raqs
Wuzoo karta shammo.n ka aqs
Meena baazaar roshan roshan
Jhumka, paazeb, itr, kangan

Dil soz daastaa.n apni sunayei.n
Ye thandi deewarein, ye thehre saaye

In lal deewaro.n ke zakhm hare hain
Khamosh daamano.n mei.n raaz dhare hai.n
Gard mein lipte jahaa.n yahaa.n par
Bujhte kadmon ke nishaa.n yahaa.n par
Saalo.n saal, hazaaro.n kisse
Itihaas ke nazuk, toote hisse
Kitni gutthiyaa.n kholti hai.n
Tum suno, to ye bhi bolti hai.n

Dil soz daastaa.n apni sunayei.n
Ye thandi deewarein, ye thehre saaye